shaeri jhut sahi ishq fasana hi sahi zinda rahne ke liye koi bahana hi sahi khak ki lauh pe likkha to gaya nam mera asl maqsud tera mujh ko mitana hi sahi khwab-e-uryan to isi tarah tar-o-taza hai han meri nind ka malbus purana hi sahi ek udte hue sayyare ke pichhe pichhe koi imkan koi shauq rawana hi sahi kya karen aankh agar us se siwa chahti hai ye jahan-e-guzaran aaina-khana hi sahi dil ka farman sar-e-dast utha rakhte hain khair kuchh roz ko takmil-e-zamana hi sahi