shaguftagi se gae, dil-giraftagi se gae hum aaj khalwat-e-jaan mein bhi be-dili se gae gila karen bhi to kis se wo na-murad-e-junun jo khud zawal ki jaanib badi khushi se gae suna hai ahl-e-khirad ka hai daur-e-ainda ye baat hai to samajh lo ki hum abhi se gae khuda kare na kabhi mil sake dawam-e-visal jiyenge khak agar tere khwab hi se gae hai ye bhi khauf hamein be-tawajjohi se siwa ki jis nazar se tawaqqoa hai gir usi se gae maqam kis ka kahan hai, buland kis se hai kaun? miyan ye fikr karoge to shairi se gae har ek dar pe jabin tekte ye sajda-guzar khuda ki khoj mein nikle the aur khudi se gae samajhte kyun nahin ye shaer-e-karakht-nawa sukhan kahan ka jo lahje ki dilkashi se gae gali thi sahn ka hissa hamare bachpan mein makan bade hue lekin kushadgi se gae barae ahl-e-jahan lakh kaj-kulah the hum gae harim-e-sukhan mein to aajizi se gae ye tez raushni raaton ka husn kha gai hai tumhaare shahr mein hum apni chandni se gae faqih-e-shahr ki har baat man lo chup-chap agar sawal uthaya, to zindagi se gae na puchhiye ki wo kis karb se guzarte hain jo aagahi ke sabab aish-e-bandagi se gae uthao rakht-e-safar, aao ab chalo 'irfan' hasin yahan ke to sab khu-e-dilbari se gae