shahr-e-dil sulga to aahon ka dhuan chhane laga

shahr-e-dil sulga to aahon ka dhuan chhane laga
shabnami aanchal magar yaadon ka lahrane laga

sham-e-tanhai mein bhi ek shakhs ki yaadon ka sath
rang apne gham ke viranon ka sanwlane laga

tham kar baitha raha main chandni ka narm hath
jab andhera zulf ka mahaul par chhane laga

dasht-e-tanhai mein ji chaha use aawaz dun
jab pukara khud sada se apni takrane laga

sham hi se jal uthe jab us ki yaadon ke charagh
chhanw mein taron ki shab par bhi nikhaar aane laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close