shahr-e-shor-o-shar tanha ghar ke baam-o-dar tanha tum nahin to lagta hai aalam-e-bashar tanha dard aashna tair chhed naghma-e-hasrat kyun khamosh baitha hai gham ki shakh par tanha jab khushi ka mausam tha ham-safar tha ek aalam katni hai ab lekin gham ki rahguzar tanha har taraf teri yaaden muskuraati rahti hain kis ne kah diya tujh se ab hai mera ghar tanha tum ne baad muddat ke dil ka haal puchha hai karwaten badalta hai gham ki sej par tanha shahr ke gali kuche puchhte hain rah rah kar ai 'sarosh' phirte ho kyun idhar-udhar tanha ai 'sarosh' mat puchho meri kya haqiqat hai zindagi ke sahra mein dard ka shajar tanha