shaikast-e-shauq ko takmil-e-arzu kahiye jo tishnagi ho to paimana-o-subu kahiye khayal-e-yar ko dijiye visal-e-yar ka nam shab-e-firaq ko gaisu-e-mushk-bu kahiye charagh-e-anjuman-e-hairat-e-nazara the wo lala-ru jinhen ab dagh-e-arzu kahiye mahak rahi hai ghazal zikr-e-zulf-e-khuban se nasim-e-subh ki manind ku-ba-ku kahiye shikayaten bhi bahut hain hikayaten bhi bahut maza to jab hai ki yaron ke ru-ba-ru kahiye ba-hukm kijiye phir khanjaron ki dildari dahan-e-zakhm se afsana-e-gulu kahiye