shajar hain ab samar-asar mere chale aate hain dawedar mere muhajir hain na ab ansar mere mukhalif hain bahut is bar mere yahan ek bund ka muhtaj hun main samundar hain samundar par mere abhi murdon mein ruhen phunk dalen agar chahen to ye bimar mere hawaen odh kar soya tha dushman gae bekar sare war mere main aa kar dushmanon mein bas gaya hun yahan hamdard hain do-chaar mere hansi mein tal dena tha mujhe bhi khata kyun ho gae sarkar mere tasawwur mein na jaane kaun aaya mahak utthe dar-o-diwar mere tumhaara nam duniya jaanti hai bahut ruswa hain ab ashaar mere bhanwar mein ruk gai hai naw meri kinare rah gae is par mere main khud apni hifazat kar raha hun abhi soe hain pahre-dar mere