shajar ki shakh se jhula utar bhi sakta hai tere baghair ye sawan guzar bhi sakta hai samet rakkha hai apna wajud khud main ne ye aaina jo gira to bikhar bhi sakta hai kabhi kabhi hamein milne ka izn de kar wo hamari zat pe ehsan kar bhi sakta hai tamasha yun na dikha apni be-niyazi ka hamare sabr ka paimana bhar bhi sakta hai wo jis ko dawa hai tufan ka rukh badal dega kabhi kabhi kisi aandhi se dar bhi sakta hai kaha tha us ne ki milne zarur aaega magar wo wade se apne mukar bhi sakta hai bade saliqe se sab ko sambhaal rakkha hai zara si chuk se kumba bikhar bhi sakta hai duaen mangti rahti hun roz-o-shab rab se agar wo chahe muqaddar sanwar bhi sakta hai