sham-e-wada hai agar ab bhi na wo aae to phir aur is gham mein jo dhadkan dil ki ruk jae to phir jis se tum daman-kashan ho zindagi ki rah mein ruh ki gahraiyon mein wo utar jae to phir tujh ko hai jis ki wafaon par nihayat e'timad reza reza kar ke wo tujh ko bikhar jae to phir amn ka parcham liye phirte ho sare shahr mein aur nang-e-admiyat tum hi kahlae to phir lakdiyon ke ghar mein mitti ka diya achchha nahin raushni ke badle is mein aag lag jae to phir