sham hone wali thi jab wo mujh se bichhda tha zindagi ki rahon mein subh jab main jaga tha wo jo mujh se bichhda tha so raha tha bahon mein mai-kade mein sab ke sab jam hath mein le kar doston mein baithe the dur log masjid mein rab ko yaad karte the dil ki bargahon mein wo zamin ke shahzade tir aur kaman le kar jangalon mein phirte the ek hiran jo zakhmi tha daudta hua aaya radhika ki bahon mein hum pale charaghon mein raushni se rishta tha nur hum mein rahta tha chand le ke wo nikle jin ko hum ne dekha tha zulmaton ki bahon mein auraton ki aankhon par kale kale chashme the sab ki sab barahana thin zahidon ne jab dekha sahilon ka ye manzar likh diya gunahon mein hum ne ahd-e-wusta ke sare taj-daron ki yaadgaren dekhi hain taj sab mein yakta hai aur shahjahan tanha sare baadshahon mein