sharar-e-jaan se guzar gardish-e-lahu mein aa ab ai nigar-e-tamanna mere subu mein aa mujhe pukar meri baz-gasht ki manind mere khamir se uth meri guftugu mein aa tere liye to libas-e-ghazal hai na-kafi qarar-e-jaan tu kisi aur rang-o-bu mein aa main tishna-lab hun sar-e-dasht-e-agahi kab se sabil tu hai to sahra-e-justuju mein aa tujhe to halqa-e-danish-waran se kya nisbat tu 'azmi' kisi tashhir-e-ku-ba-ku mein aa