shayad abhi kami si masihaiyon mein hai jo dard hai wo ruh ki gahraiyon mein hai jis ko kabhi khayal ka paikar na mil saka wo aks mere zehn ki ranaiyon mein hai kal tak to zindagi thi tamasha bani hui aur aaj zindagi bhi tamashaiyon mein hai hai kis liye ye wusat-e-daman-e-iltifat dil ka sukun to inhi tanhaiyon mein hai ye dasht-e-arzu hai yahan ek ek dil tujh ko khabar bhi hai tere saudaiyon mein hai tanha nahin hai ai shab-e-giryan diye ki lau yaadon ki ek sham bhi parchhaiyon mein hai 'gulnar' maslahat ki zaban mein na baat kar wo zahr pi ke dekh jo sachchaiyon mein hai