shayad meri fariyaad sunai nahin deti qudarat jo mujhe hukm-e-rihai nahin deti tha pahle bahut shor nihan-khana-e-dil mein ab to koi siski bhi sunai nahin deti khwabon ki tijarat mein yahi ek kami hai chalti hai dukan khub kamai nahin deti har tar-e-nafas hai mutharrik mutwatir rukhsat hi mujhe naghma-sarai nahin deti kya dhund hai ashkon ki musallat dil o jaan par dekhi hui duniya bhi dikhai nahin deti chalne ko to sab yar kamar-basta khade hain jis rah pe chalna hai sujhai nahin deti kanton pe chalati hai koi aur hi lazzat wahshat ka sila aabla-pai nahin deti main qaid-e-mahaalat se dam bhar mein nikal jaun hasil ki hawas mujh ko rihai nahin deti main apni hi mitti se bana leta hun 'midhat' wo chiz jo auron ki khudai nahin deti