shiar-e-zist ko kuchh rang-e-jawedana karun sunaun talkh haqiqat ghazal bahana karun kabhi to aa ki teri zulf ke tasadduq mein shuur-o-fikr ko taswir-e-ashiqana karun hayat barsar-e-tazim dil agar thahre to kyon na khun-e-jigar sarf-e-dostana karun bahut hujum hai yaadon ka dil ki basti mein jo dekh pao to dil ko nigar-khana karun hunar-nawaz tah-e-qabr ja chuke 'farhat' daqiq lafzon mein ab rasm-e-dil ada na karun