shikasta chhat mein parindon ko jab thikana mila main khush hua ki mere ghar ko bhi gharana mila falak pe udte hue bhi nazar zamin pe rahi mizaj mujh ko muqaddar se tairana mila hum us ke husn-e-sukhan ki dalil kya denge wo jitni bar mila hum se barmala na mila ab aa gaya hai to chup-chap khamushi ko sun mere sukut mein apni koi sada na mila ladi si tut ke aankhon se gir padi ai 'shauq' labon se harf ka koi bhi silsila na mila