shikasta-haal sa be-asra sa lagta hai ye shahr dil se ziyaada dukha sa lagta hai har ek ke sath koi waqia sa lagta hai jise bhi dekho wo khoya hua sa lagta hai zamin hai so wo apni gardishon mein kahin jo chand hai so wo tuta hua sa lagta hai mere watan pe utarte hue andheron ko jo tum kaho mujhe qahr-e-khuda sa lagta hai jo sham aai to phir sham ka laga darbar jo din hua to wo din karbala sa lagta hai ye raat kha gai ek ek kar ke sare charagh jo rah gaya hai wo bujhta hua sa lagta hai dua karo ki main us ke liye dua ho jaun wo ek shakhs jo dil ko dua sa lagta hai to dil mein bujhne si lagti hai kaenat tamam kabhi kabhi jo mujhe tu bujha sa lagta hai jo aa rahi hai sada ghaur se suno us ko ki is sada mein khuda bolta sa lagta hai abhi kharid len duniya kahan ki mahngi hai magar zamir ka sauda bura sa lagta hai ye maut hai ya koi aakhiri visal ke baad ajab sukun mein soya hua sa lagta hai hawa-e-rang-e-do-alam mein jagti hui lai 'alim' hi kahin naghma-sara sa lagta hai