shishe ke muqaddar mein badal kyun nahin hota in pattharon ki aankh mein jal kyun nahin hota qudrat ke usulon mein badal kyun nahin hota jo aaj hua hai wahi kal kyun nahin hota har jhil mein pani hai har ek jhil mein lahren phir sab ke muqaddar mein kanwal kyun nahin hota jab us ne hi duniya ka ye diwan racha hai har aadmi pyari si ghazal kyun nahin hota har bar na milne ki qasam kha ke mile hum apne hi iradon pe amal kyun nahin hota har ganw mein mumtaz janam kyun nahin leti har mod pe ek taj-mahal kyun nahin hota