shor hai us sabza-e-rukhsar ka aaj tuti bolta hai yar ka kis ada se hath rakkha qabze par pad gaya putli mein dam talwar ka ashk-e-be-tasir se hun aab aab uqda hun main aansuon ke tar ka bujh gaya mera charagh-e-zindagi dekh kar wo qumquma rukhsar ka kis maraz ki hai dawa unnab-e-lab khatt-e-rukh nuskha hai kis bimar ka ab ki aisi haar hai fasl-e-bahaar gul hai but-khala zaban-e-khar ka abru-e-ghilman hai wo mehrab-e-dar zulf-e-hura saya hai diwar ka lene wale le gae hosh-o-hawas bik gaya sauda mere bazar ka jab main nikla khalq ne ghera mujhe mera sauda qarz hai bazar ka juu-e-jannat hai chehre sayyaad ki meri gardan par hai haq gulzar ka aab-kari ki ho khidmat 'bahr' ko na-khuda hai kashti-e-mai-khwar ka