shuur-e-qais ne sahra mein khud-kushi kar li kaha gaya gham-e-laila mein khud-kushi kar li gham-e-hayat ke aatish-kade se aaya tha wo jis ne kud ke dariya mein khud-kushi kar li hamare qatl ka shahid to hai har ek lamha magar ye shor hai duniya mein khud-kushi kar li mila na jab koi autar mujh ko kal-yug mein nae janam ki tamanna mein khud-kushi kar li junun talash-e-bayaban mein munhamik hi raha khirad ne saghar-e-sahba mein khud-kushi kar li rah-e-hayat na tai ho saki to jamuna ne suna hai dub ke ganga mein khud-kushi kar li