sikhaya ishq ne mujh ko ki jang-ju kya hai ye kya hai zakhm ki shiddat ki phir rafu kya hai agar sukun hai kisi ek jagah thahar jaana to phir ye khub se bartar ki justuju kya hai usul hote hain kuchh dosto mohabbat ke agar namaz hai sab kuchh to phir wuzu kya hai agar ho chhod gae mujh ko chhodne wale to teri yaadon sa ye mere ru-ba-ru kya hai sitare todna mumkin hai ya nahin mumkin tum us ko chhodo batao ki aarzu kya hai mere hain samne mere mere baghair tere agar hain yar ye mere to phir adu kya hai tumhaari mahfilon mein aana phir chale jaana agar zawal hai ye bhi to surkh-ru kya hai