silsila chalta rahega mere dil ke baad bhi jo nagar ujda hai ab tha ye kabhi aabaad bhi is qafas se is qadar apni tabiat ho gai chhod kar jaun na hargiz wo karen aazad bhi shab gazida hun mujhe taron ki chhanw se hai dar dil ka khun karne chale aae hain tera zad bhi muddaton se koi sandesa na aane ki khabar ab unhen shayad hi aati ho hamari yaad bhi chand bhi joban pe apne raat bhi masti bhari dur koi chhed de bansi pe ek fariyaad bhi kar diya haalat ki chakki ne bhi 'shirin' ko chor aur kuchh hai khud-gharaz is daur ka 'farhad' bhi naujawan ne talkhi-e-haalat se ki khud-kushi aur 'hasrat' aag mein jhonki hain sab asnad bhi