sine mein sans aankhon mein jab tak ke dam rahe

sine mein sans aankhon mein jab tak ke dam rahe
baatil ke samne na mera sar ye kham rahe

mausam bhi dil-fareb hai mahaul bhi hasin
lag ja gale ki kuchh to wafa ka bharam rahe

kirdar par na apne kabhi harf aa saka
dushman ki mahfilon mein bhi hum mohtaram rahe

waise to ye jahan fasanon ka dher hai
lekin fasane apne bahut hi aham rahe

hum ne har ek masala hal kar liya magar
baqi 'bahaar' zulf ke bas pech-o-kham rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close