sitam ke mare lahu mein Dube hue nazaron ka kya karunga

sitam ke mare lahu mein dube hue nazaron ka kya karunga
sisakte ghuncho tumhin batao main in bahaaron ka kya karunga

jinhen bharosa ho aasman par wo aasman se panah mangen
main apne zarron se mutmain hun main chand-taron ka kya karunga

agar mujhe de sake zamana to kuchh nae zakhm aur de de
main ghamgusaron ko jaanta hun main ghamgusaron ka kya karunga

hain sham-e-ghurbat ki tirgi mein mujhe mere ashk hi ghanimat
ho jin ki qismat mein khud hi gardish main un sitaron ka kya karunga

main khud hi tufan hun apna sahil nikal lunga yahin kahin se
jahan safine bhi dub jaen main un kinaron ka kya karunga

tumhaare dair-o-haram ke jalwe tumhein mubarak tumhin sambhaalo
mujhe haqiqat ki justuju hai main khwab-zaron ka kya karunga

abhi to daman-e-ghuncha-o-gul se lunga main intiqam 'arshad'
abhi junun mo'atabar nahin hai abhi bahaaron ka kya karunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close