sitam-shiar zamane ne hausle na diye

sitam-shiar zamane ne hausle na diye
rah-e-siyah pe phenka magar diye na diye

bahut se waqiye aise guzar gae hain ki jo
tere jamal ki aadat ne dekhne na diye

hamare baad mazar-e-wafa ko dekho to
kahin na phul na khushbu na taqche na diye

judaiyan bhi na pindar-e-dil mita pain
ki raste to diye dil ne waste na diye

bhare jahan se chun kar mujhe muqaddar ne
jo chand log diye bhi to kaam ke na diye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close