sitaron ke payam aae bahaaron ke salam aae

sitaron ke payam aae bahaaron ke salam aae
hazaron nama-ha-e-shauq ahl-e-dil ke kaam aae

na jaane kitni nazren us dil-e-wahshi pe padti hain
har ek ko fikr hai us ki ye shahin zer-e-dam aae

isi ummid mein betabi-e-jaan badhti jati hai
sukun-e-dil jahan mumkin ho shayad wo maqam aae

hamari tishnagi bujhti nahin shabnam ke qatron se
jise saqi-gari ki sharm ho aatish-ba-jam aae

koi shayad hamare dagh-e-dil ki tarah raushan ho
hazaron aaftab is shauq mein baala-e-baam aae

inhen rahon mein shaikh-o-muhtasib hail rahe akasr
inhen rahon mein huran-e-bahishti ke khiyam aae

nigahen muntazir hain ek khurshid-e-tamanna ki
abhi tak jitne mehr-o-mah aae na-tamam aae

ye aalam lazzat-e-takhliq ka hai raqs-e-lafani
tasawwur-khana-e-hairat mein lakhon subh-o-sham aae

koi 'sardar' kab tha is se pahle teri mahfil mein
bahut ahl-e-sukhan utthe bahut ahl-e-kalam aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close