soe kahan the aankhon ne takiye bhigoe the hum bhi kabhi kisi ke liye khub roe the angnai mein khade hue beri ke ped se wo log chalte waqt gale mil ke roe the har sal zard phulon ka ek qafila ruka us ne jahan pe dhul ate panw dhoe the is hadse se mera talluq nahin koi mele mein ek sath kai bachche khoe the aankhon ki kashtiyon mein safar kar rahe hain wo jin doston ne dil ke safine duboe the kal raat main tha mere alawa koi na tha shaitan mar gaya tha farishte bhi soe the