subh-dam aaya to kya hangam-e-sham aaya to kya tu meri nakaamiyon ke baad kaam aaya to kya iltifat-e-awwalin ki baat hi kuchh aur hai mujh tak un ki bazm mein ab daur-e-jam aaya to kya taqat-e-nazzara jab minnat-pazir-e-hosh ho bahr-jalwa phir koi baala-e-baam aaya to kya shorish-e-hangama-e-mansur ki tajdid hai qatl ko mere wo bain ehtimam aaya to kya ab kahan wo fasl-e-gul aur ab kahan josh-e-bahaar bahr-e-gul-gasht-e-chaman wo khush-khiram aaya to kya ai hujum-e-na-muradi ai wufur-e-yas-o-gham ishq mein kuchh lutf-e-sai-e-na-tamam aaya to kya jab gareban mein hamare tar tak baqi nahin phir agar subh-e-bahaaran ka payam aaya to kya aarzu-e-dil abhi tak tishna-e-tafsir hai tujh ko 'najmi' shiwa-e-husn-e-kalam aaya to kya