subu hai aur shisha hai na koi jam hai saqi zaban par rind-mashrab ki khuda ka nam hai saqi shikayat gardish-e-dauran ki karte bhi to kya karte ajal hi jab ilaj-e-gardish-e-ayyam hai saqi kahan wo fikr-o-fan ka mai-kada aabaad tha jin se na 'ghaalib' hai na 'sauda' hai na wo 'khayyam' hai saqi kashakash se gham-o-alam ki ab mil gai fursat teri zulfon ke sae mein bada aaram hai saqi qafas mein hausla parwaz ka dam tod deta hai na khatra baad-o-baran ka na khauf-e-dam hai saqi gham-o-andoh ki shiddat mein poshida masarrat hai masarrat ek aks-e-shiddat-e-alam hai saqi main wo aazad hun jo baada-e-irfan ka tishna hai pila de ok se mera piyala kham hai saqi