sukun-e-dil abhi laun kahan se

sukun-e-dil abhi laun kahan se
mujhe fursat nahin aah-o-fughan se

bahut hai kahish-e-dard-e-mohabbat
hamein kya wasta aish-e-jahan se

na puchho majra-e-shauq hum se
kahin laghzish na ho jae zaban se

karam un ka tere haal-e-zabun par
magar ye baat bahar hai guman se

abhi shar aur aafat to hai baqi
sharafat uth gai lekin jahan se

nasihat bazm-e-waiz mein hui thi
adab sikha magar bazm-e-butan se

khabar hai un ko harf-e-muddaa ki
bhala hum kyon kahen apni zaban se

hai kaisi raushni sahn-e-chaman mein
giri hai barq shayad aasman se

na bar aai tamanna dil ki 'nasir'
uthe hum na-muradana jahan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close