sukun pyar tabassum bahaar gul shabnam khushi mein zist ko kya kya samajh gae the hum ghamon se qalb-o-nazar ka badal gaya aalam magar mizaj-e-tabassum na ho saka barham ye kis ko dhundte phirte hain mere dida-e-nam kahan wo log jo ab bant len hayat ke gham kis aaftab-sifat shakhs ke ruke the qadam charagh dair-o-haram ke hain aaj tak maddham junun ki rah se guzra nahin koi shayad kisi jagah to dikhai de koi naqsh-e-qadam khirad pahunch ke wahan aaj naz karti hai wo jis maqam pe kal tak guzar aae hum rah-e-wafa se guzarna muhaal ho jata agar 'nasib' na hota hamare sath ye gham