sukut-e-sham mein gunji sada udasi ki ki hai mazid udasi dawa udasi ki bahut sharir tha main aur hansta phirta tha phir ek faqir ne de di dua udasi ki umur-e-dil mein kisi tisre ka dakhl nahin yahan faqat teri chalti hai ya udasi ki charagh-e-dil ko zara ehtiyat se rakhna ki aaj raat chalegi hawa udasi ki wo imtizaj tha aisa ki dang thi har aankh jamal-e-yar ne pahni qaba udasi ki isi umid pe aankhen barasti rahti hain ki ek din to sunega khuda udasi ki shajar ne puchha ki tujh mein ye kis ki khushbu hai hawa-e-sham-e-alam ne kaha udasi ki dil-e-fasurda ko main ne to mar hi dala so main to thik hun ab tu suna udasi ki zara sa chhu len to ghanton dahakti rahti hai hamein to mar gai ye ada udasi ki bahut dinon se main us se nahin mila 'faris' kahin se khair-khabar le ke aa udasi ki