suna hai teri zamane pe hukmarani hai magar na bhul ki do din ki zindagani hai chaman ki sari bahaaron ke tum hi malik ho faqat hamare muqaddar mein baghbani hai main kaise chhod dun ghar ko kamai ki khatir main ek gharib hun bitiya meri siyani hai hisar-e-behisi hargiz na tod paenge wo jin ko dosto sham-e-amal bujhani hai bahao khul ke gharibon ka be-kason ka lahu nasib se tumhein hasil zar-o-jawani hai khuda ki rah pe chal kar dikhaiye 'ghazi' jo kaamyab tumhein zindagi banani hai