suno ek baat 'ajib si ki na ghaib tha na huzur tha jo tha mere dil ke qarib-tar wo meri nigah se dur tha wo jo meri bazm se chal diye to nazar khuli ki khuli rahi magar ek shor bapa raha ki jo shor-e-yaum-e-nushur tha mujhe apne shauq pe naz tha ye pata chala ki fareb tha jise main samajhta tha bandagi wo meri khata thi qusur tha jo main haal dil ka bayan karun mujhe aisa mauqa' kahan mila wo jo mere dil ka tha aaina wo nigah-e-naz se chur tha mujhe dagh de ke chala gaya mere dil mein ghaw laga gaya wo jo mere dil ka surur tha wo jo meri aankh ka nur tha