sunta nahin kisu hi ki wo yar dekhna kijo na us se haal-e-dil izhaar dekhna gustakh be-tarah hai tujh aaghosh se ye hath ho jaega gale ka tere haar dekhna tujh dar pe misl-e-naqsh-e-qadam ek umr se pyare fatada hai ye gunahgar dekhna ghar tere gae pe tujh kun na paya bila raqib mujh ko hua ye gul ke ewaz khar dekhna sham-e-jamal apne pe chahe jo imtihan parwana-war mujh ko bhi yak-bar dekhna koi tira-bakht mujh sa bhi hoga jahan mein tujh zulf se mila na mujhe tar dekhna is raaz-e-ishq ko kahin ro ro ke shama san izhaar kijiyo na 'jahandar' dekhna