surahi muzmahil hai mai ka piyala thak chuka hai dar-e-saqi pe har ek aane wala thak chuka hai andhero aao aa kar tum hi kuchh aaram de do ki chalte chalte bechaara ujala thak chuka hai adawat ki dararen waisi ki waisi hain ab tak wo bharte bharte ulfat ka masala thak chuka hai mujhe luta zarurat ki yahan har company ne musalsal karte karte dil kifalat thak chuka hai sukhan mein kuchh nae majmua le kar aaiye aap purani shairi se har risala thak chuka hai bata ai 'faiz' aakhir ganw ja kar kya karega tu jis ke nam ki japta tha mala thak chuka hai