suraj to de diya tha sitara bhi de diya

suraj to de diya tha sitara bhi de diya
phir hum ne us ko khak ka khirqa bhi de diya

aslan to shahr-e-ishq ke meamar the magar
rab ne dayar-e-dard ka theka bhi de diya

daman pakad ke pichhe ye qallash thi padi
duniya ko hum ne bhik ka kasa bhi de diya

pagdi dukan-e-sang-tarashi ki li magar
rokan mein kar-khana-e-shisha bhi de diya

tha hashr ko zamana-e-ma-qabl-e-hasti kam
so hum ne apni umr ka arsa bhi de diya

pahle ukhadi khitta-e-dasht-e-junun ki bad
phir sar-zamin-e-khak ka qabza bhi de diya

us ki nazar thi hath pe so hum ne is liye
auzar de diye sabhi pesha bhi de diya

apni taraf se main ne 'shafaq' khwab de diye
phir us ke baad aankh ka surma bhi de diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close