surat-e-dilkashi rahi KHwahish-e-zindagi rahi

surat-e-dilkashi rahi khwahish-e-zindagi rahi
dagh-e-dil-e-kharab se raat mein raushni rahi

tere sabhi kulah-posh koh-e-ghurur se gire
apni to tark-e-sar ke baad ishq mein bartari rahi

satwen aasman tak shoala-e-ilm-o-aql tha
phir bhi zamin-e-ahl-e-dil kaisi hari bhari rahi

aap hua hai mundamil gul ne bahaar ki nahin
shohrat-e-dast-e-chaaragar zakhm hi dhundhti rahi

kahte hain har adab mein hai ek sada-e-bazgasht
'mir' ke husn-e-sher se meri ghazal saji rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close