tabah zist magar ek bazigar ne ki wagarna wajh na thi tut kar bikharne ki wo ud chuka hai to phir us ki man lete hain use to zid si hai ilzam hum pe dharne ki tamam khwab pareshan the shab ki mahfil mein na-jaane baat kya taron se chashm-e-tar ne ki wo rath mein aankh ki har pal chamakta rahta hai ye rut hai jugnuon ke khak par utarne ki hai chhed chhed mera daman-e-sawal bhi ab ajib haalat-e-dil mere jadugar ne ki samaaton ka nasha hai ki shor pael ka khirad bhi chhin gai hain sadaen jharne ki kitab-e-waqt ka har bab hifz kar dala padhi na mashq magar qaul se mukarne ki nahin thi zist muqaddar na bach sake warna bahut sai mere masum chaaragar ne ki 'rashid' hum ne faqiri mein waqt kat liya agarche taj sajaane ki zid bhi sar ne ki