tabani-e-rukh le kar tum samne jab aae mahsus hua aisa hum chand se takrae barkha ka ye mausam bhi kis darja suhana hai aahon ki idhar badli zulfon ke udhar sae aagah na the pahle hum ishq ki rahon se phulon ke ishaaron par kanton mein chale aae honton ke tabassum par sau bijliyan raqsan hain bikhraate hain wo shoale daman koi phailae aalam-e-zamana se badla hun main kis had tak main apne ko pahchanun aaina koi lae ai dost mujhe tujh se ek daur ki nisbat hai tarik meri raaten gesu tere kajlae ye gul bhi hain dagh-e-dil hai farq 'salam' itna kuchh rah gae gulshan mein kuchh dil mein chale aae