taDapta hai teri furqat mein koi nim jaan ho kar

tadapta hai teri furqat mein koi nim jaan ho kar
sitam hai pher lena aankh tera mehrban ho kar

zaban-go samne un ke na thi munh mein mere goya
khamoshi kah rahi thi haal dil mera zaban ho kar

main bawar kar nahin sakta but-e-kamsin ke wadon ko
ye hain bachpan ki baaten bhul jaega jawan ho kar

nahin do-chaar tinkon se falak ko dushmani lekin
use zid hai rahe kyon ye hamara aashiyan ho kar

maze se ishq ke ghafil rahe donon ke donon hi
wo mashghul-e-jafa ho kar main masruf-e-fughan ho kar

agar mashq-e-sukhan teri yunhi jari rahi 'bekhud'
tu rang afroz-e-mahfil hoga tu rangin bayan hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close