tafsil batane se kinara hi kiya hai kya chahta hun us ko ishaara hi kiya hai mushkil tha agar koi to wo bich mein chhoda aasan mila mujh ko to sara hi kiya hai us ka mutabaadil bhi usi tarah ka dhunda yani ki khasare pe khasara hi kiya hai jab ek dafa se na hui utni tashaffi phir sare ke sare ko dobara hi kiya hai haalanki pahunch se kahin bahar hai ye phir bhi koi na koi hum ne to chaara hi kiya hai waisa hi jawab us ko main de sakta tha lekin wo kahta raha jo bhi gawara hi kiya hai darpesh qaziyye the hamein aur bhi lekin sab chhod ke bas kaam tumhaara hi kiya hai bilkul hi na hone se to kuchh hona hai behtar jaisa bhi mila hum ne guzara hi kiya hai