tair hai aae aae na aae zafil par

tair hai aae aae na aae zafil par
aakhir ko aa girega badan ki fasil par

aisi bhi kya khata thi jo sukh-chain le gai
mazi mein jhankta hun isi ek dalil par

kamre ki phir faza mein hai manus si mahak
phir khwab koi utra hai nindon ki jhil par

main khwahishon ki umr se aage nikal gaya
taswir ho gaya hun latakna hai kil par

qatil ke haq mein qazi gawahi bhi de gaya
ilzam hai faqat ye hasin-o-jamil par

'sabir' jahan likha tha safar umr bhar ka hai
kuchh naqsh-e-pa bane the usi sang-e-mil par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close