tak raha hai tu aasman mein kya hai abhi tak kisi udan mein kya wo jo ek tujh ko jaan se pyara tha ab bhi aata hai tere dhyan mein kya kya nahin hogi phir meri takmil koi tujh sa nahin jahan mein kya hum to teri kahani likh aae tu ne likkha hai imtihan mein kya ho hi jate hain jab juda donon phir talluq hai jism-o-jaan mein kya hum qafas mein hain udne wale bata hai wahi lutf aasman mein kya padh rahe ho jo itni ghaur se tum kuchh naya-pan hai dastan mein kya urdu wale kamal dikhte hain koi jadu hai is zaban mein kya