tamam bhiD se aage nikal ke dekhte hain

tamam bhid se aage nikal ke dekhte hain
tamash-bin wo chehra uchhal ke dekhte hain

nazakaton ka ye aalam ki ru-numai ki rasm
gulab bagh se bahar nikal ke dekhte hain

tu la-jawab hai sab ittifaq rakhte hain
magar ye shahr ke fanus jal ke dekhte hain

ise main apne shabistan mein chhu ke dekhta hun
wo chand jis ko samundar uchhal ke dekhte hain

jo kho gaya hai kahin zindagi ke mele mein
kabhi kabhi use aansu nikal ke dekhte hain

jo roz daman-e-sad-chaak site rahte hain
tumhein wo id pe kapde badal ke dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close