tamam raat bujhenge na mere ghar ke charagh ki ye charagh hain khun-e-dil-o-jigar ke charagh in aansuon ko sitare salam karte hain bujha sako to bujha do ye chashm-e-tar ke charagh hua na aisa charaghan kabhi sar-e-maqtal hatheliyon pe hain raushan burida-sar ke charagh unhin pe chalne se manzil milegi ham-safaro ye naqsh-e-pa hain kisi ke ki rahguzar ke charagh is anjuman mein ujala rahega sadiyon tak jala raha hun musalsal dil-o-nazar ke charagh ye lal-qila ye diwar-e-chin ye taj-mahal ye sab ke sab hain jalae hue bashar ke charagh 'habab' shahr-e-saba mein wo qumqumon ki bahaar gali gali mein farozan the sim-o-zar ke charagh