tamam raat padi thi ki din nikal aaya abhi to aankh lagi thi ki din nikal aaya yaqin ho pukhta to phir shab badal bhi sakti hai ye baat us ne kahi thi ki din nikal aaya ye moajaza bhi hamin par tamam hona tha wo bas zara sa hansi thi ki din nikal aaya main din nikalne ka waise bhi muntazir tha bahut ye jaan khwab hui thi ki din nikal aaya sahar se pahle bhala din kahan nikalta hai zara si baat bani thi ki din nikal aaya zara sa dard hua tha ki dil chamak uttha zara si subh hui thi ki din nikal aaya karen jo ghaur yahi hai nizam-e-qudrat 'tur' ye raat khatm hui thi ki din nikal aaya