tamam rishton ko be-kudurat bana diya hai hamein mohabbat ne khubsurat bana diya hai wo aadatan be-niyaz ladki thi jis ne khud ko hamari khatir wafa ki murat bana diya hai main tere bin zindagi guzarun to khud ko haarun ki tu ne khud ko meri zarurat bana diya hai tumhaari khatir likhi hui awwalin ghazal ko kitab-e-imkan ki pahli surat bana diya hai purane wadon ki dhajjiyon ko mila ke 'yawar' milan ka hum ne shagun mahurat bana diya hai