tamam umr bade sakht imtihan mein tha wo fasla jo tere mere darmiyan mein tha paron mein simta to thokar mein tha zamane ki uda to ek zamana meri udan mein tha usi pe ho gaya qurban do dilon ka milap wo jaedad ka jhagda jo khandan mein tha tujhe ganwa ke kai bar ye khayal aaya teri ana hi mein kuchh tha na meri aan mein tha