tamannaon mein uljhaya gaya hun

tamannaon mein uljhaya gaya hun
khilaune de ke bahlaya gaya hun

hun is kuche ke har zarre se aagah
idhar se muddaton aaya gaya hun

nahin uthte qadam kyun jaanib-e-dair
kisi masjid mein bahkaya gaya hun

dil-e-muztar se puchh ai raunaq-e-bazm
main khud aaya nahin laya gaya hun

sawera hai bahut ai shor-e-mahshar
abhi bekar uthwaya gaya hun

sataya aa ke pahron aarzu ne
jo dam bhar aap mein paya gaya hun

na tha main mo'taqid eajaz-e-mai ka
badi mushkil se manwaya gaya hun

kuja main aur kuja ai 'shad' duniya
kahan se kis jagah laya gaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close