tamasha-e-alam hai aur main hun

tamasha-e-alam hai aur main hun
khushi ke sath gham hai aur main hun

zamane ka sitam hai aur main hun
ye sab un ka karam hai aur main hun

rah-e-haq par qadam hai aur main hun
sar-e-aflak kham hai aur main hun

tamawwuj par abhi hai bahr-e-hasti
safina zer-o-bam hai aur main hun

abhi kaise kahun subh-e-bahaaran
abhi to sham-e-gham hai aur main hun

kahin bazm-e-nashat-e-aish-o-ishrat
kahin par chashm-e-nam hai aur main hun

badal dalun nizam-e-zindagi ye
badi mushkil mein dam hai aur main hun

kisi lamha bhadak kar bujh na jae
charagh-e-subh-dam hai aur main hun

mujhe tanha na samjho mere 'hamdam'
hujum-e-ranj-o-gham hai aur main hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close