tanha udas shab ke siwa koi bhi na tha sannata aaya jhank ke ghar mein chala gaya be-kaifiyon ki jhil mein be-his se kuchh parind baithe the thodi der magar is se kya hua chehron ke maile jismon ke jangal the har jagah un mein kahin bhi koi magar aadmi na tha wo ajnabi yahi to wo kahta tha chikh kar mera adhura khwab kahin mujh se kho gaya chhan chhan ke aa rahi hai kidhar se ye raushni meri fasil-e-dard ki rifat ko kya hua